NIKAAH  & JANAAZA........




The difference between a Wedding and a Funeral beautifully captured in a poem called :
FARQ  SIRF  ITNA SA THA
Teri doli uthi,
Meri mayyat uthi,
Phool tujh par bhi barse,
Phool mujh par bhi barse,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu saj gayi,
Mujhe sajaya gaya..
Tu bhi ghar ko chali,
Main bi ghar ko chala,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Tu uth ke gayi,
Mujhe uthaya gaya...
Mehfil wahan bhi thi,
Log yahan bhi the,
FARQ SIRF ITNA SA THA
Unka hasna wahan,
Inka rona yahan...
Qazi udhar bhi tha,
Moulvi idhar bhi tha,
Do bol tere padhe,
Do bol mere padhe,
Tera NIKAAH padha,                                 Mera JANAAZA padha,
FARQ SIRF ITNA SA THA...
Tujhe APNAYA gaya,
Mujhe DAFNAAYA gaya.....

Comments

Popular posts from this blog

The Vanjari caste

शेतजमीन विषयक वहिवाट रस्ता

Proposed Development Plan for greater Mumbai - 2034